DATE: 30.07.2024
Welcome guys!
aaj ke blog mein aapka sawagat hai, jesa ki mein apne cooler ki moter thik karwane ke liye gaya tha, jo ki kal nahi hui thi. to mein ghar a gaya tha, iske baad blog likh ke mein so gaya tha, or aaj subhe mummy ne uthane ke liye meme wala tarika use kiya, fan hi off kar diya jiske baad meine uth ke, fan wapas chalu kiya or lete gaya fir mummy ne tana dena suru kar diya bed pe bhi pada rahi o.
mein fir utha 7 baje or tayar hone ke liye sochne laga fir 8:30 pe ghar se nikal gaya or 10:00 court pohch gaya, aaj sir mere se late hue, jayda nahi thori der hi late hue the. aaj ek matter mein bail ka seen tha, state v/s sunil kumar, 11 baje humara number aya attendence laga ke wait karne ko bola hum wahi bethe rahe fir idhar udhar ghumte firte humko 3:30 baj gaye us waqt humara number aya fir jugde sir ne bola ab to time bacha nahi hai date de deta hu. bohot gusaa aya tha us time,
aaj meine ravdass wala application bhi submit kar diya, jiski date 08.08.2024 di, or jis court mein sunil kumar ka matter tha us mein ek aaj cute si law inter thi, mein sakt to sakt londa jaldi nahi pighal ne wala. woh ladki thori der baad meri chair ki taraf ake beth gai bich mein ek chair khali thi, us mein sir ake beth gaye, sir us se baat kar rahe the but mein apni file khol ke padhne laga or sir ne ek letter likhne ko kaha tha, mein wohi likhne laga.
yahi sab karke 11:00 se 3:30 bich ka time nikal diya, uske baad jo letter meine kal type kiya, us ko poonam ne padhne ke baad ek editing karne ko kaha jis mein car or mobile ko hata ke uski beti ke bare mein likhna tha, meine usi waqt woh thik kar diya, or fir bahar ghumne laga, fir ghumte ghumte ein 2nd floor pe chala gaya jaha mein game khel ne laga, fir sir ek pic bhej te hai jis mein poonam ne likha tha ''मेरी एक साल की एक बेटी है, जिसको ये लोग मेरे से छिन ने की कोशिश कर रहे है।'' meine sir ko batya ki sir wahi to likha hai, fir sir ne poonam se baat ki ek baar wapas dekho or padho, meine to us se bhi jayda likh rakha tha, "मेरे पति के चले जाने के बाद मेरी बेटी ही उनकी आखरी निशानी है, वो एक साल की है मेरे जेठ जेठानी उसको मेरे से छिन ने की कोशिश कर रहे है, में उसके बिना नहीं रह सकती, आप मेरी मदद करे।
aaj meine sir se apne i'd card ke liye bola unhone bola ki apne aadhar card copy or apni 2 photo de dena mein karwa dunga aadhar card mere pass tha photo chich wani thi to wahi court mein clicj karwake nikal wa li 80 ke 10. fir jab mein form lene gaya to first time mein mujhe advocate ka letter de diya fir sir ne bola intern ka letter leke ao, mein waha gaya lekin intern ka letter nahi hota, cleark ka hota hai, meine wahi manga lekin sir ne bola aap parso ana, abhi letter khtam ho rahe hai, meine room mein ake google karne laga jispe mujhe ek letter mila meine uska printout nikal ke fill kiya or chala gaya submit kar wane waha sir ne bola ye to aapne print nikal wa liya yaha ka alag hota hai or aapko kaha tha na ki parso ana. meine itna sun ke ghar a gaya.
ghar ake mein moter wale bhaiya ke pass chala gaya jaha mere moter 5 min mein thik ho gaya, 50 rupee laga us mein, ghar lake meien usko fit kar diya, mujhe pyarr machino se hai kar mein wakalat raha hu, uske baad agar nagar jake apne liye vest(baniyan), leke aya.
or uske baad blog likhane ke liye beth gaya, aaj ke blog mein itna hi...
milte hai aapse next blog mein...
yaha tak padhne ke liye thank you...
No comments:
Post a Comment