Sunday, July 28, 2024

SUNDAY #1

DATE:28.07.2024

Hello guys! 

Welcome to our blog, jesa ki kal mene batya tha ki sir ne mujhe ek complaint letter diya tha  jo ki mujhe khud se bana ke likh na tha jiske liye mere pass aaj ka time tha or mujhe apna best dena tha to mein aaj subhe uthne ke baad  laga gaya letter likhne ke liye jis mein mene family drama bhai behen ka pyarr soteli maa ka atya char etc etc jo man mein aya likh dala jsike baad woh letter meine sir ko behj ke chuti li or sir ko pdf bana ke bhej diya jiske baad sir woh dekh to liya lekin koi reply nahi diya fir meine sir pe msg pr jayda dhyan nahi diya or socha ki kal laptop leke jao ga or agar kuch edit karna hoga to kar dunga  

Fir 3 baje tak mein ghar ke kaam mein lag gaya uske baad free hoke haircutting ke liye chala gaya, waha jake ne ke baad mujhe ek ghanta laga, jiske baad mein haircut le baad ghar a gaya. Or hamesha ki taraha mummy ne kami nikali ki kon kahe ga ki isne bal or daari katwai hai jab ki itne baal kar wa liye ki raftarr lite lag gaya tha, is baar beard mein meine kuch naya try kiya tha. 

Waha se jab mein ghar ki taraf a raha tha to sayad ek ka dahej ka saman aya tha jisko uthane ke liye unke pass logo ki kami ho rahi thi, unhone mujhe bahubali samjh liya or mujhe door se awaj laga ke bulaya bhaiya idhar ana thori madad kar wa do. Eooden cupboard or dressing tabel ai thi, table to halki thi usko pehle utar ke side mein rakh wa diya fir ai cupboard ki bari jismein 6 logo ki jarurat padi. Un 6 mein se 1 mein bhi tha, unki madad karwa ke mein waha se nikal gaya kyu ki woh usko uppar chadane ki baat kar rahe the. 

Ghara ne ke baad mein sabse pehle nahane ke liye chala gaya, fir phone chalane ke liye beth gaya, apna pehle gta 5 ka last mission complete kiya jiske baad meri game complete ho gai. Or fir mrnr insta open kiya kuch pending msg the unko seen karke unka reply diya fir madam ji ko insta note ke liye ek song suggest kiya, or apne liye bhi ek song laga liya meri insta id @2004_vikram_ hai agar follow karna chate ho to kar lene, beacause u are my big fan. 

Mene socha ki ab thora so jata hu lekin fir nind hi nahi arahi thi, or fir bhukh lagi to 2 hi roti thi woh mene dazy ko de di or jake apne liye pasta banane laga. Uski waqt mere school ke dooste a gaye un saalo ko huka pina tha jsike liye mera ghar dikhta hai unko, mera pass ek khali room hai, ghar ke pass hi hai to woh uska galat faida uthate hai party wagera karne ke liye, 

Unko waha chor ke mein ghar a agya apna pasata khane ke liye, jo ki tab tak mummy ne bana diya tha, ghar ake woh mene khaya or ek baar wapsa un gadho ko dekhne ke liye chala gaya. Woh namune waha hukkar fukne ka plan bana rehe the. Unko wahi chor mein ghar aya cooler ki moter kholi or shop pe chala gya thik karwane ke liye le gaya jaha bhaiya ne bola rakh jao kal a jane lene ke liye, usko wahi rakh ke mein paneer or matter lene ke liye chala gaya, waha se ane ke baad mummy ko doctore ke pass leke gaya or waha se ane ke baad laptop leke blog likhne ke liye beth gaya 

Aaj ke liye itna hu milte hai aapse kal ke blpg mein tab tak ke liye good byy... 

Thank you yaha tak padhne ke liye... 

No comments:

Post a Comment

INTERNSHIP #19 DATE 21.03.2025

 Hello guys! aaj ke blog mein aapka sawagat hai jaisa ki last blog mein maine aapko batya tha ki kaisa mera din gaya mein raat mein ghar bhi...